ruḳhsat-e-raqs bhī hai paañv meñ zanjīr bhī hai
sar-e-manzar magar ik boltī tasvīr bhī hai
mere shānoñ pe farishtoñ kā bhī hai bār-e-girāñ
aur mire sāmne ik malbe kī ta.amīr bhī hai
zā.icha apnā jo dekhā hai to sar yaad aayā
jaise in hāthoñ pe kanda koī taqdīr bhī hai
ḳhvāhisheñ ḳhuun meñ utrī haiñ sahīfoñ kī tarah
in kitāboñ meñ tire haath kī tahrīr bhī hai
jis se milnā thā muqaddar vo dobāra na milā
aur imkāñ na thā jis kā vo ināñ-gīr bhī hai
sar-e-dīvār navishte bhī ka.ī dekhtā huuñ
pas-e-dīvār magar hasrat-e-tāmīr bhī hai
maiñ ye samjhā thā sulagtā huuñ faqat maiñ hī yahāñ
ab jo dekhā to ye ehsās hama-gīr bhī hai
yuuñ na dekho ki zamāna mutvajja ho jaa.e
ki is andāz-e-nazar meñ mirī tash.hīr bhī hai
maiñ ne jo ḳhvāb abhī dekhā nahīñ hai 'aḳhtar'
merā har ḳhvāb usī ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai