dhuup saroñ par aur dāman meñ saayā hai
sun to sahī jo peḌoñ ne farmāyā hai
kaise kah duuñ biich apne dīvār hai jab
chhoḌne koī darvāze tak aayā hai
us se aage jāoge tab jāneñge
manzil tak to rāsta tum ko laayā hai
bādal ban kar chāhe kitnā ūñchā ho
paanī āḳhir miTTī kā sarmāyā hai
āḳhir ye nākām mohabbat kaam aa.ī
tujh ko kho kar maiñ ne ḳhud ko paayā hai
'shāz' mohabbat ko apnānā khel nahīñ
apne haath se apnā haath chhuḌāyā hai