sañg kisī ke chalte jaa.eñ dhyān kisī kā rakkheñ
ham vo musāfir saath apne sāmān kisī kā rakkheñ
rañg-birañge manzar dil meñ āñhkeñ ḳhālī ḳhālī
ham āvāz kisī ko deñ imkān kisī kā rakkheñ
ik jaise haiñ dukh sukh sab ke ik jaisī ummīdeñ
ek kahānī sab kī kyā unvān kisī kā rakkheñ
din bhar to ham paḌhte phireñ apnī ġhazleñ nazmeñ
raat sirhāne apne ham dīvān kisī kā rakkheñ
ukhḌī ukhḌī ulTī sīdhī 'shāz' haiñ us kī bāteñ
aao kuchh din is dil ko mehmān kisī kā rakkheñ