Zakariya Shaz

mujh tak nigah aai jo wapas palaT gai

Zakariya Shaz

mujh tak nigāh aa.ī jo vāpas palaT ga.ī
phailā jo merā shahr to pahchān ghaT ga.ī
maiñ chup rahā to aañkh se aañsū ubal paḌe
jab bolne lagā mirī āvāz phaT ga.ī
is kā nahīñ hai rañj ki taqsīm ghar huā
phūloñ bharī jo bel thī āñgan meñ kaT ga.ī
jiine kī ḳhvāhishoñ ne sabhī zaḳhm bhar diye
ā.ankhoñ se ashk mez se tasvīr haT ga.ī
dast-e-bahār-e-rañg ne ḳhushbū bikherī thī
phir apne aap phuul se titlī lipaT ga.ī
manzar jo chāhtā huuñ vahī dekhtā huuñ maiñ
maiñ kyā karūñgā 'shāz' jo ye dhund chhaT ga.ī
Top Urdushayar.com