utreñ gahrā.ī meñ tab ḳhaak se paanī aa.e
sab ko ai dost kahāñ ashk-fishānī aa.e
phāñdnī paḌ ga.ī kāñToñ se bharī baaḌ hameñ
jitne paiġhām the phūloñ kī zabānī aa.e
bas yahī soch ke kirdār nibhāte jaao
jaane kis moḌ pe anjām-e-kahānī aa.e
ek muddat maiñ ḳhamoshī se rahā mahv-e-kalām
tab kahīñ jā ke ye lafzoñ meñ ma.ānī aa.e
kahīñ dhokā hī na ho shauq na.ī manzil kā
mere hamrāh koī raah purānī aa.e
'shāz' ḳhud meñ hī gañvā.e hue ḳhud ko rakhnā
haath jab tak na koī apnī nishānī aa.e