Zakariya Shaz

chhanw se usne daman bhar ke rakkha hai

Zakariya Shaz

chhāñv se us ne dāman bhar ke rakkhā hai
jis ne dhuup ko uupar sar ke rakkhā hai
pal pal ḳhuun bahātā huuñ in āñkhoñ se
maiñ ne ḳhud ko manda mar ke rakkhā hai
saarī baat hī pahle qadam kī hotī hai
pahlā qadam hī tū ne Dar ke rakkhā hai
apne hī bas pīchhe bhāgtā rahtā huuñ
ḳhud ko hī bas aage nazar ke rakkhā hai
ḳhud hī khaḌe hue haiñ apne pairoñ par
haath apnā hī uupar sar ke rakkhā hai
'shāz' us se hī ḳhush hotā hai vaqt ustād
yaad sabaq sab jis ne kar ke rakkhā hai
Top Urdushayar.com