Zakariya Shaz

hum tujhse koi baat bhi karne ke nahin the

Zakariya Shaz

ham tujh se koī baat bhī karne ke nahīñ the
imkān bhī hālāt sañvarne ke nahīñ the
bhar Daalā unheñ bhī mirī bedār nazar ne
jo zaḳhm kisī taur bhī bharne ke nahīñ the
ai ziist idhar dekh ki ham ne tirī ḳhātir
vo din bhī guzāre jo guzarne ke nahīñ the
kal raat tirī yaad ne tūfāñ vo uThāyā
aañsū the ki palkoñ pe Thaharne ke nahīñ the
un ko bhī utārā hai baḌe shauq se ham ne
jo naqsh abhī dil meñ utarne ke nahīñ the
ai gardish-e-ayyām hameñ rañj bahut hai
kuchh ḳhvāb the aaise ki bikharne ke nahīñ the
Top Urdushayar.com