Zakariya Shaz

jab bhi ghar ke andar dekhne lagta hun

Zakariya Shaz

jab bhī ghar ke andar dekhne lagtā huuñ
khiḌkī khol ke bāhar dekhne lagtā huuñ
tanhā.ī meñ aisā bhī kabhī hotā hai
ḳhud ko bhī maiñ chhū kar dekhne lagtā huuñ
haath koī jab ā.ankhoñ par aa rakhtā hai
kaise kaise manzar dekhne lagtā huuñ
pahle dekhtā huuñ maiñ kumak ḳhayāloñ kī
phir lafzoñ ke lashkar dekhne lagtā huuñ
dekh dekh ke us ko jī nahīñ bhartā to
bāñhoñ meñ phir bhar kar dekhne lagtā huuñ
din bujh jaa.e to phir taare taare meñ
ḳhud ko 'shāz' munavvar dekhne lagtā huuñ
Top Urdushayar.com