na jab koī sharīk-e-zāt hogā
mirā ham-zād mere saath hogā
gharoñ ke band darvāzoñ meñ raushan
vahī ik zaḳhm-e-ehsāsāt hogā
na yuuñ dahlīz tak aao ki bāhar
galī meñ fitna-e-zarrāt hogā
kurede jaao yuuñ hī raakh dil kī
kahīñ to sho.ala-e-jazbāt hogā
darīche yuuñ to khul sakte nahīñ the
havāoñ meñ kisī kā haat hogā
kitāboñ meñ mileñge sher mere
mirā ġham raunaq-e-safhāt hogā
yahī din meñ Dhalegī raat 'aḳhtar'
yahī din kā ujālā raat hogā