bad-gumāñ kyā qabr meñ armāñ tire le jā.eñge
ham akele aa.e haiñ jaise akele jā.eñge
kis qadar sābit qadam haiñ rah-ravān-e-dost
jā.eñge phir un kī koī jaan le le jā.eñge
hazrat-e-dil aur phir jaa.eñ na us kī bazm meñ
jhiḌkiyāñ de le koī ilzām de le jā.eñge
tum satā lo mujh ko lekin yuuñ na har ik se milo
zulm sah lūñgā magar sadme na jhele jā.eñge
is galī meñ Daal do tā sambhleñ Thokar khā ke ġhair
yuuñ bhī ik din ḳhaak meñ āñkhoñ ke Dhele jā.eñge
hai duāoñ kā asar sañg-e-havādis hī agar
apne hāthoñ phir to ye sadme na jhele jā.eñge
ḳhair ḳhvāhoñ rāz-dāroñ kī bahut niyyat dekh lī
aaj se ham us kī mahfil meñ akele jā.eñge
be-kasī meñ kaun kis kā saath detā hai safī'
milne vaale haiñ tamāshe ke ye mele jā.eñge