itne to ham-ḳhayāl dil-e-mubtalā haiñ ham
kal jis se ḳhush the aaj isī se ḳhafā haiñ ham
tujh se judā nahīñ haiñ jo tujh se judā haiñ ham
tere hī haiñ agarche tire naqsh-e-pā haiñ ham
kahte haiñ ham ko nek bhī bad bhī hazār-hā
is kī ḳhabar nahīñ hai ki dar-asl kyā haiñ ham
rutba baḌhā diyā hai junūn-e-firāq ne
ham se judā haiñ aap to sab se judā haiñ ham
tāsīr-e-ashk-o-āh ne badlā nahīñ mizāj
muddat huī ki shākī-e-āb-o-havā haiñ ham
lākhoñ jafā.eñ sah ke ab aayā hai ye ḳhayāl
milte hī kyuuñ haiñ us se jo be-mudda.ā haiñ ham
vo yaas ban ga.ī jo zamāne kī aas thī
āzurda aaj apne se be-intihā haiñ ham
jamtā hai apne zikr se ab mahfiloñ kā rañg
rahte haiñ apne ghar meñ magar jā-ba-jā haiñ ham
kyā kyā ināyateñ haiñ bas ai charḳh-e-pīr bas
terā tasadduq ab bhī kisī se judā haiñ ham
ab ittifāq-e-ahl-e-vafā tum ko kyā dikhā.eñ
mahshar meñ dekhnā ki ye sab ek jā haiñ
manzūr imtihān-e-dil-e-ishq-bāz hai
ab apne vāste bhī to sabr-āzmā haiñ ham
is par miTe hue haiñ miTātā hai jo safī'
dushman kī gā rahe haiñ baḌe ḳhush-navā haiñ ham