ḳhush huuñ yā dost se ḳhafā huuñ maiñ
āj-kal kuchh nayā nayā huuñ maiñ
tum pe sau jaan se fidā huuñ maiñ
tum jise chāho us ko chāhūñ maiñ
har adā par tirī fidā huuñ maiñ
aa.ina ban ke dekhtā huuñ maiñ
un ko ye aarzū are tauba
maiñ kahūñ aarzū bharā huuñ maiñ
ai atā kosh kar ataa.ī nazar
ai ḳhatā-posh be-ḳhatā huuñ maiñ
ibtidā hī ġhalat hai bismillāh
apnā anjām sochtā huuñ maiñ
ek nādān dost kī ḳhātir
dushmanoñ se milā huā huuñ maiñ
kasmapursī hai ḳhaak hone tak
ḳhaak hote hī kīmiyā huuñ maiñ
ishq-bāzī hai zinda-dar-gorī
maut se pahle mar chukā huuñ maiñ
kisī sūrat bhī kāmyāb nahīñ
kis nirāse kā mudda.ā huuñ maiñ
hijr meñ mausam-e-hujūm-e-gul
aur dīvāna ban gayā huuñ maiñ
mujh ko kyuuñ jānte ho mustaġhnī
nahīñ bando nahīñ ḳhudā huuñ maiñ
ishq ne kar diyā nikammā sā
ab tire kaam kā banā huuñ maiñ
talab-e-haq hai aise ijz ke saath
jaisā ḳhairāt māñgtā huuñ maiñ
abhī sab kuchh abhī nahīñ kuchh bhī
ai safī' kyā batā.ūñ kyā huuñ maiñ