ishq un sab se alag sab se judā hotā hai
chīḳhne rone taḌap lene se kyā hotā hai
yaad aatā hai gale mil ke tirā pachhtānā
har na.ī iid meñ ye rañj nayā hotā hai
jo bhalā kartā hai allāh ke bandoñ ke liye
ġhaib se us kā bhī har kaam bhalā hotā hai
guft-o-gū meñ ye nazākat hai ki allāh allāh
ek ik harf bhī mushkil se adā hotā hai
qahr hotā hai hasīnoñ meñ jo hotā hai matīñ
shoḳh hotā hai jo un meñ vo balā hotā hai
jiine detī hai kise pyaar kī sūrat kāfir
dost to dost hai dushman bhī fidā hotā hai
tazkire husn ke sun husn kā dil-dāda na ban
ba.az bātoñ ke to sunñe meñ mazā hotā hai
mah-jabīñ iid meñ añgusht-numā kyuuñ na raheñ
iid kā chāñd hī añgusht-numā hotā hai
phabtiyāñ ġhair pe kasne ko hai maujūd safī'
aur us pe kabhī hañsiye to ḳhafā hotā hai