ab na vo ham haiñ na vo pyaar kī sūrat terī
na vo hālat hai hamārī na vo hālat terī
dekh lī dekh lī bas ham ne tabī.at terī
ho na dushman ke bhī dushman ko mohabbat terī
kyā ġharaz us se ho dushman pe ināyat terī
ham to jiite haiñ faqat dekh ke sūrat terī
ye bhī aa jaatī hai jab dekh lī sūrat terī
sach hai ulfat nahīñ muñh dekhe kī ulfat terī
tark-e-ulfat hī nahīñ qat-e-ta.alluq bhī kyā
phir bhī jaatī nahīñ zālim ye mohabbat terī
daḳhl hogā na kabhī jis meñ gunahgāroñ kā
hogī ai vā.iz-e-kaj-fahm vo jannat terī
chāhne vāloñ kā hañgāma kisī din hogā
ek din tujh ko rulā.egā ye sūrat terī
ye taḌap ye tirī fariyād ye hasrat ai dil
kaash aa jaa.e mirī jaan pe aafat terī
pahle kuchh aur hī tevar the ye tevar tere
pahle kuchh aur hī sūrat thī ye sūrat terī
dekhne vāloñ kī ik bhiiḌ rahā kartī thī
uf re vo husn tirā haa.e vo sūrat terī
us pe hairat hai baḌī mujh ko ta.ajjub hai bahut
ġhair phir ġhair ke dil meñ ho mohabbat terī
aadmī kī tujhe pahchān nahīñ ai zālim
ham to karte haiñ tire muñh pe shikāyat terī
tujh ko dilbar jo banāyā to banāyā ham ne
varna ma.alūm hai duniyā ko haqīqat terī
jaan de dī na agar maiñ ne to kuchh bhī na kiyā
aap kahte hī raheñ kyā hai haqīqat terī
chain aatā hī na thā tujh ko hasīnoñ ke baġhair
ai safī' kyā huī aglī vo tabī.at terī