qarya-e-jāñ se guzar kar ham ne ye dekhā bhī hai
jis jagah ūñchī chaTāneñ haiñ vahāñ dariyā bhī hai
dard kā chaḌhtā samundar jism kā kachchā makāñ
aur un ke darmiyāñ āvāz kā sahrā bhī hai
ruuh kī gahrā.ī meñ paatā huuñ peshānī ke zaḳhm
sirf chāhā hī nahīñ maiñ ne use puujā bhī hai
raat kī parchhā.iyāñ bhī ghar ke andar band haiñ
shaam kī dahlīz par sūraj kā naqsh-e-pā bhī hai
chāñd kī kirneñ ḳharāsheñ haiñ dar-o-dīvār par
aur dar-o-dīvār ke pahlū meñ ik saayā bhī hai
ghar kā darvāza muqaffal hai agar dekhe koī
andar ik kohrām hai jaise koī rahtā bhī hai
jab maiñ 'aḳhtar' pattharoñ ko aa.ina dikhlā chukā
maiñ ne dekhā ā.inoñ ke haath meñ tesha bhī hai