Safi Aurangabadi

jo husn-o-ishq se amn-o-aman mein rahte hain

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
jo husn-o-ishq se amn-o-amāñ meñ rahte haiñ
kahāñ ke log haiñ vo kis jahāñ meñ rahte haiñ
kalām-e-pāk meñ hai zikr-e-hazrat-e-yūsuf
ye husn-o-ishq har ik dāstāñ meñ rahte haiñ
ilāhī ab se hasīnoñ ko mehrbān banā
ki tere bande unhīñ kī amaañ meñ rahte haiñ
tumhīñ to ho vo jo dard-o-alam meñ rakhte ho
hamīñ to haiñ vo jo āh-o-fuġhāñ meñ rahte haiñ
mujhe to aap se matlab hai chāñd sūraj kaun
vo un ko chāheñge jo āsmāñ meñ rahte haiñ
kidhar kidhar ke chale aate haiñ ye be-vahdat
kahāñ kahāñ ke tumhāre makāñ meñ rahte haiñ
umiid rañj alam zabt dard sabr qalaq
ye sab hamāre dil-e-nā-tavāñ meñ rahte haiñ
hazāroñ kaam haiñ aise bhī dekh ai ġhāfil
ki ba.ad marg bhī log is jahāñ meñ rahte haiñ
ḳhudā samajh le lagāne bujhāne vāloñ ko
ye ḳhvāh-maḳhvāh yahāñ meñ vahāñ meñ rahte haiñ
ishāre aap kī abrū ke koī kyā jaane
ki kitne zahr ke tiir is kamāñ meñ rahte haiñ
hamārī ḳhaas taraqqī hai ḳhāna-vīrānī
kabhī makāñ meñ the ab lā-makāñ meñ rahte haiñ
agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zīst uThā
hazār fā.ede us ik ziyāñ meñ rahte haiñ
ḳhayāl-e-dost meñ rahte haiñ ai safī' jab tak
to is jahāñ meñ na ham us jahāñ meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com