yuuñ to milne ko ik zamāna milā
na milā haañ vo bevafā na milā
āshnā.ī meñ kuchh mazā na milā
āshnā dard-āshnā na milā
jab mile vo khiche tane hī mile
lutf milne kā ik zarā na milā
ham-navā sab ḳhizāñ ke aate hī
aise patta hue patā na milā
kho ke dil ko ham is qadar ḳhush haiñ
jaise qārūn kā ḳhazāna milā
shaad kyā huuñ husūl-e-jannat par
ki rupa.e meñ se ek aanā milā
āshiqī kyā hai sach jo pūchho to
ham ko marne kā ik bahāna milā
zindagānī thī yā pareshānī
sab kiyā aur kuchh mazā na milā
roiye us kī bad-nasībī par
DhūñDhne par jise ḳhudā na milā
mujh se milne meñ kyā burā.ī hai
aap ke dil kā mudda.ā na milā
mil gayā dil jo ham se milnā thā
aañkh ab ham se to milā na milā
khich ke milnā bhī koī milnā hai
ek hai vo jo yuuñ milā na milā
phir samā.ī safī' se milne kī
kyuuñ tumheñ koī dūsrā na milā
qadr kartā huuñ apnī aap safī'
vaah mujh ko bhī kyā zamāna milā