Safi Aurangabadi

tera be-muddaa mange dua kya

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
tirā be-mudda.ā māñge duā kyā
maraz hai tandurustī meñ davā kyā
kaheñ kyā kyā kiyā hai ham ne kyā kyā
tujhe ai bevafā qadr-e-vafā kyā
tabassum ho javāb-e-mudda.ā kyā
kahā kyā aap ne maiñ ne sunā kyā
kaho āḳhir zarā maiñ bhī to sun luuñ
mirī nisbat sunā hai tum ne kyā kyā
tumhārī mehrbānī hai to sab hai
mirā armān merā mudda.ā kyā
na dekheñ vo to apnā girya be-sūd
na pūchheñ vo to apnā mudda.ā kyā
chalā tū bhī jo ai dil lene vaale
hamāre paas phir baaqī rahā kyā
adā.eñ tum ko baḳhshīñ ham ko āñkheñ
karegā aur bandoñ se ḳhudā kyā
jo mujh ko aap hī dar se uThā deñ
koī rakkhe kisī kā aasrā kyā
samajhte ho jo apne-āp ko tum
use samjhegā koī dūsrā kyā
khilāte ho qasam zabt-e-fuġhāñ par
zarā socho maraz kyā hai davā kyā
mire ghar ko tum apnā ghar na samjho
to aisī mehmānī kā mazā kyā
safī' ḳhud biinī Thahre jin kā sheva
nazar aa.egā un ko dūsrā kyā
Top Urdushayar.com