Safi Aurangabadi

shab-e-hijr aah kidhar gai kahun kis se nala kidhar gaya

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
shab-e-hijr aah kidhar ga.ī kahūñ kis se naala kidhar gayā
jo guzar ga.ī vo guzar ga.ī jo guzar gayā vo guzar gayā
jo tumhārī aañkh se gir paḌā jo tumhāre dil se utar gayā
vo ġharīb jīte-jī mar gayā vo kahāñ gayā vo kidhar gayā
koī apne bachne kā Dhab nahīñ koī zindagī kā sabab nahīñ
mire paas dil bhī to ab nahīñ vo idhar ga.e ye udhar gayā
koī dard ho to davā karūñ na bane davā to duā karūñ
use kyā kahūñ use kyā karūñ ki maiñ un ke dil se utar gayā
use dil-lagī kā mazā milā use āshiqī kā mazā milā
use zindagī kā mazā milā jo tirī adāoñ pe mar gayā
koī dost hai ki ġhulām hai koī ye bhī tarz-e-kalām hai
vo kahāñ gayā vo kahāñ gayā vo kidhar gayā vo kidhar gayā
tire zulm aur sitam sahe tire jāñ-nisār bhī ham rahe
na raqīb jis ko har ik kahe ki tirī jafāoñ se Dar gayā
rahe kyuuñ na siine meñ dam ḳhafā ye nayā sitam hai na.ī jafā
kahūñ kyā safī' koī bevafā mire dil ko le kar mukar gayā
Top Urdushayar.com