Safi Aurangabadi

dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
dām-e-ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ se chhuḌā liyā
kyā baal baal mujh ko ḳhudā ne bachā liyā
ab us ko rahm aa.e ye qismat ke haath hai
ban jaa.e baat haal to ham ne banā liyā
sharmā ke muñh chhupāne kā andāz dekhnā
goyā ki us ne aib hamārā chhupā liyā
yā ye ki ham ne tark-e-mohabbat kī Thaan lī
yā ye huā ki aaj kisī ko manā liyā
hotā huuñ ek naale pe meñ qatl haa.e haa.e
āvāz de ke apnī qazā ko bulā liyā
zālim fareb de ke na le dil ġharīb kā
ik roz kaam aa.egā terā diyā liyā
rashk-e-raqīb ho ki ġham-e-dūrī-e-habīb
jo vaqt par nasīb huā ham ne khā liyā
maiñ kyā kahūñ ke jaan rahī kis azaab meñ
jab us ne mujh ko apnī barābar biThā liyā
jhūTā sahī zalīl sahī koī kuchh kahe
maiñ ne to aaj un ko gale se lagā liyā
pūchhī hai dost ban ke mire dil kī aarzū
us ne zabān de ke mirā mudda.ā liyā
le koī shaan kī to bas itnā kiyā karo
jis se koī baḌā.ī sunī aazmā liyā
mehmān dost ko jo kiyā dostoñ ke saath
dekhā thā jis ko dīda-varoñ ko dikhā liyā
us kī bhī maut sahal ho sakrāt se bache
jis ne hamārī naza.a meñ naam aap kā liyā
baiThe to baat karne na dī bazm-e-ġhair meñ
uTThe to apne saath hī mujh ko uThā liyā
dil kā hī ek naam hai shāyad ḳhayāl bhī
aisā agar nahīñ hai to dil us ne kyā liyā
ma.ashūq ko to jalva-numā.ī zarūr hai
dekho aziiz misr ke so maiñ dikhā liyā
is darja tū ne ḳhasta kiyā ai ġham-e-firāq
ham ko hamārī gor ne hoñToñ se khā liyā
samjhā safī' ko aap ne jo kuchh ġhalat hai ye
duniyā kā bad-ma.āsh zamāne kā chāliyā
Top Urdushayar.com