chhuTī ummīd to maiñ hāl-e-dil kahne se kyuuñ Dartā
masal mash.hūr hai sarkār martā kyā nahīñ kartā
bahut achchhā huā dushman ne mujh se dushmanī kar lī
sivā mere na jaane aur kis kis ko ye le martā
agar dushman se aise pesh aate to maza paate
karūñ kyā arz jo bartāv mujh se aap ne bartā
kisī paimāñ-shikan ne rukte rukte baat to kar lī
jo va.ade hī pe ham uḌte to ye kartā na vo kartā
nahīñ mujh se tirī be-e'tinā.ī qābil-e-hairat
ġharīb insān duniyā kī nigāhoñ meñ nahīñ bhartā
safī' ne Thokareñ khā ke bhī apnī vaz.a kab badlī
samajh vaalā agar hotā hasīnoñ se bahut Dartā