Safi Aurangabadi

kisi din to hamara dard-e-dil soz-e-jigar dekho

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
kisī din to hamārā dard-e-dil soz-e-jigar dekho
kabhī to bhuul kar aao kabhī to pūchh kar dekho
na dekho dost ban kar tum to dushman kī nazar dekho
ḳhafā ho kar bigaḌ kar ruuTh kar dekho magar dekho
nahīñ bhartī tabī.at laakh dekho umr-bhar dekho
ḳhudā kī shaan hai aise bhī hote haiñ bashar dekho
kisī ko jab se dekhā hai dikhā.ī kuchh nahīñ detā
huī merī nazar ko dosto kis kī nazar dekho
tarastī haiñ ye āñkheñ dekhne ko dil taḌaptā hai
ziyāda se ziyāda muḳhtasar se muḳhtasar dekho
muqaddar se nibhī tum ek goyā bhole-bhāle the
koī zālim se zālim fitna-gar se fitna-gar dekho
kahī haiñ ham-nashīno dil-lagī meñ tum ne jo bāteñ
unheñ sach-much pahuñch jaa.e na ye jhūTī ḳhabar dekho
phir us par nukta-chīñ hai nukta-dāñ hai shaiḳh logoñ meñ
anāḌī paḌh rahā hai duḳht-e-raz ko duḳht-e-zar dekho
koī betāb koī mast koī chup koī hairāñ
tirī mahfil meñ goyā ik tamāshā hai jidhar dekho
tumhārī bazm baat insāniyat kī phir raqīboñ meñ
bhare haiñ aadmī kī sūratoñ ke jānvar dekho
na ho jo banda-parvar bandagī ko bandagī us kī
janāb-e-dil ḳhudā ravāq koī aur ghar dekho
nahīñ az-rū-e-qānūn-e-mohabbat jurm-e-nazzāra
to phir kyuuñ haiñ janāb-e-dil agar dekho magar dekho
use dekhā hai jis ke dekhne ko log marte haiñ
nazar baazū hamārī bhī zarā hadd-e-nazar dekho
safī' ko shā.irī se mil ga.ī har-dil-azīzī bhī
daroġh-e-maslahat-āmez bhī hai kyā hunar dekho
Top Urdushayar.com