tūfān-e-abr-o-bād se har-sū namī bhī hai
peḌoñ ke TūTne kā samāñ dīdanī bhī hai
arzāñ hai apne shahr meñ paanī kī tarah ḳhuuñ
varna vafā kā ḳhuun baḌā qīmtī bhī hai
yaaro shaguft-e-gul kī sadā par chale chalo
dasht-e-junūñ ke moḌ pe kuchh raushnī bhī hai
TuuTe hue makāñ haiñ magar chāñd se makīñ
is shahr-e-ārzū meñ ik aisī galī bhī hai
begāna-vār guzrī chalī jā rahī hai ziist
muḌ muḌ ke dostoñ kī tarah dekhtī bhī hai
'aḳhtar' guzarte lamhoñ kī aahaT pe yuuñ na chauñk
is mātamī julūs meñ ik zindagī bhī hai