Safi Aurangabadi

ye to sach hai ki safi ki nahin niyyat achchhi

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
ye to sach hai ki safī' kī nahīñ niyyat achchhī
haañ magar paa.ī hai zālim ne tabī.at achchhī
kyā huā aap ne paa.ī hai jo sūrat achchhī
aadmī vo hai ki jis kī ho tabī.at achchhī
aaj vo pūchhne aa.e haiñ hamārā matlab
sun liyā thā kahīñ matlab kī mohabbat achchhī
ḳhūbsūrat hai vahī jis pe zamāna rījhe
yuuñ to har ek ko hai apnī hī sūrat achchhī
kuchh bhī ho ek tamannā to bañdhī rahtī hai
tujh se sau darja tire milne kī hasrat achchhī
nahīñ apne meñ koī chāhne vaalā terā
Daal dī Dālne vāloñ ne adāvat achchhī
koī armān nahīñ hai to faqat betābī
vasl se tere sitamgar tirī furqat achchhī
un ke aate hī badal jaate haiñ tere tevar
ai safī' chāhiye insān kī niyyat achchhī
Top Urdushayar.com