ḳhuub hāthoñ-hāth badla mil gayā bedād kā
āshiyāñ merā jalā ghar jal gayā sayyād kā
ye ḳhulāsa muḳhtasar hai ishq kī rūdād kā
shauq hai un ko satāne kā hameñ fariyād kā
har giraftār-e-qafas qaidī hai be-mī.ād kā
chhoḌ bhī detā hai jī chāhe agar sayyād kā
vaah mujh aise muqayyad ko laqab aanrā kā
maslahat sayyād kī hai yā karam sayyād kā
ab kyā kartā hai mātam bulbul-e-nāshād kā
dil laraztā hai taqayya dekh kar sayyād kā
hashr us din dekhnā har bānī-e-be-dād kā
jab zamīñ tāñbe kī hogī āsmāñ faulād kā
kyā mirī fariyād kā un par asar hotā nahīñ
jo unheñ ma.alūm ho jaatā sabab fariyād kā
kahte haiñ be-qā.ida fariyād ham sunte nahīñ
phir batāte bhī nahīñ vo qā.eda fariyād kā
ek ḳhud-bīñ ko huā jis vaqt ḳhud-bīnī kā shauq
ban gayā manDān saare ālam-e-ījād kā
kuchh mirī fariyād bhī un par asar kartī nahīñ
aur kuchh vo bhī asar lete nahīñ fariyād kā
āshiqī sar phoḌ lene ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham to ye samjhe haiñ sun kar mājrā farhād kā
daam kā kyā zikr hai maiñ banda-e-be-dām huuñ
shāmat aa.ī phañs gayā muñh dekh kar sayyād kā
intizām-e-āb-o-dāna hai na tanzīm-e-qafas
mujh se pūchho boltā shahkār huuñ sayyād kā
nāla-o-fariyād bahr-e-aish ho jab ai safī'
phir kahāñ tāsīr naale kī asar fariyād kā