Safi Aurangabadi

wo waqiat kise yaad ek zamana hua

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
vo vāqi.āt kise yaad ik zamāna huā
kisī ne kyā na kiyā aur ham pe kyā na huā
mirā burā to mire hasb-e-mudda.ā na huā
bhalā huā bhī to koī mirā burā na huā
dikhāte ham dil-e-pur-dāġh kī bahār use
ye manzar aur zarā sā bhī ḳhushnumā na huā
kisī kā dard-e-mohabbat agar thā kam-māya
to Thahar Thahar ke phir kyuuñ zarā zarā na huā
tirā irāda mubārak tujhe magar ai dil
ye naqsh-e-pā agar us kā hī naqsh-e-pā na huā
sitam kare bhī to samjhūñ ki ye sitam hī nahīñ
ḳhafā huā bhī to jānoñ ki tū ḳhafā na huā
kyā jab aane kā iqrār aap bhuul ga.e
ye ek va.ada to shāyad kabhī vafā na huā
zamāna aap ko āshiq-navāz kahtā hai
ye sach bhī ho to kabhī ham ko kuchh atā na huā
vo kyā kaheñge jo iqbāl hī na ho mujh ko
vo kyā kareñge jo maiñ qābil-e-ḳhatā na huā
agarche shaiḳh meñ lākhoñ karāmateñ aa.iiñ
magar ye bande kā banda rahā ḳhudā na huā
razā-e-dost ke hote haiñ aur kyā ma.anī
ki mujh se un kā kabhī aaj tak gilā na huā
vo ḳhud mile to batā kyā javāb duuñ ai dil
ye uzr lañg hai koī bhī rahnumā na huā
safī' nasīb bure hoñ to kyā kare koī
nahīñ to qais bhī kuchh aadmī burā na huā
Top Urdushayar.com