pūchhte kyā ho tirā ye haal kaisā ho gayā
tum na jaano to ḳhudā jaane mujhe kyā ho gayā
āshiqī meñ vahm baḌhte baḌhte saudā ho gayā
qatra qatra jam.a hote hote dariyā ho gayā
vo sarāpā naaz hai mujh se burā to kyā karūñ
chaar ne achchhā kahā jis ko vo achchhā ho gayā
āshiqī meñ naam agar darkār hai bad-nām ho
dekh sab kuchh ho gayā jab qais rusvā ho gayā
kuchh ho lekin ab mirā dil tum se phir saktā nahīñ
ye to jis kā ho gayā kam-baḳht us kā ho gayā
apne pahlū meñ biThāyā aap ne aġhyār ko
dekhiye baiThe biThā.e kā ye jhagḌā ho gayā
le liyā yād-e-mizha ne mujh ko sail-e-ashk se
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā ho gayā
dāġh-hā-e-hijr meñ bhī dil meñ haiñ ḳhār-e-shauq bhī
baaġh kā baaġh aur ye sahrā kā sahrā ho gayā
le ke dil ilzām dete ho ġhanīmat hai yahī
maal kā muul aa gayā adle kā badlā ho gayā
dil kī ghabrāhaT nasīm-e-sub.h-dam se kam huī
vo na aa.e ġhaib se sāmān paidā ho gayā
kyā yahī hai sharm tere bhole-pan ke maiñ nisār
muñh pe donoñ haath rakh lene se pardā ho gayā
merī har ik baat qānūn-e-mohabbat hai magar
ai safī' maiñ shā.irī karne se jhūTā ho gayā