Safi Aurangabadi

jab un se dosti na rahi dushmani rahi

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
jab un se dostī na rahī dushmanī rahī
bigḌī to bigḌī aur banī to banī rahī
sadma rahā malāl rahā be-kasī rahī
lekin kisī kī yaad hamesha lagī rahī
kyā kahiye dushmanī rahī yā dostī rahī
bigḌī to bigḌī aur banī to banī rahī
phir us ko dost jaan rahā huuñ hazār haif
mujh se tamām-umr jise dushmanī rahī
pahlū hazār ham ne kiye garche iḳhtiyār
lekin jo us ke dil meñ Thanī thī Thanī rahī
ā.īna dekhtā nahīñ apne se sharm hai
achchhā huā jo mujh se use bad-zanī rahī
yūsuf ko diiñ duā.eñ zuleḳhā ne saikḌoñ
muhtāj ho ga.ī bhī to dil kī ġhanī rahī
āshiq ko kū-e-yār se behtar maqām kyā
dīvāna thā jo qais kī ban se banī rahī
tārīkī-e-mazār to mash.hūr baat hai
kuchh ham bhī DhūñDh leñge agar raushnī rahī
qadr-e-suḳhan ke vāste ab kyā karūñ safī'
dāḌhī baḌhā.ī phir bhī vahī kam-sinī rahī
Top Urdushayar.com