na apne bas meñ hai ronā na haa.e hañs denā
koī rulā.e to ronā hañsā.e hañs denā
vo bātoñ bātoñ meñ bhar aanā apnī āñkhoñ kā
vo us kā dekh ke sūrat ko haa.e hañs denā
kisī ke zulm haiñ kuchh aise be-mahal ham par
ki jī meñ aatā hai rone kī jaa.e hañs denā
vo ḳhud hañsā.e to kam-baḳht dil zidīle dil
ye vaz.a-dārī hai kyuuñ haa.e haa.e hañs denā
udūl-e-hukmī-e-dard-e-jigar ki ab ai chashm
jo laakh baar vo uTh kar rulā.e hañs denā
koī jo tujh pe hañse barq-pāsh ālam-soz
to phir har ek pe tū bhuul jaa.e hañs denā
vo ham se pūchhte haiñ tum hamāre āshiq ho
javāb kyā hai ab us ke sivā.e hañs denā
safī' kahāñ kī shikāyat kahāñ kā ġham-ġhussa
kisī kā ain laḌā.ī meñ haa.e hañs denā