Safi Aurangabadi

ranj hai us ranj se hum ko to gham us gham se hai

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
rañj hai us rañj se ham ko to ġham us ġham se hai
jo shikāyat ham ko un se hai vo un ko ham se hai
kyā paḌī hai phir kisī ke vāste rotā hai kyuuñ
ābrū-e-ishq apne dīda-e-pur-nam se hai
jhūTe muñh koī tasallī bhī nahīñ detā kabhī
phir ye kyuuñ sāhab salāmat apnī ik aalam se hai
dushmanoñ kā do hī din meñ sab bharam khul jā.egā
un kī saarī shān-o-shaukat ek mere dam se hai
haath joḌe minnateñ kiiñ ḳhair vo to man ga.e
aur logoñ ko bhī ab aisī tamannā ham se hai
is mazāq-e-ḳhās ke bhī log dekhe haiñ kahīñ
aap kī bhī jān-pahchān āḳhir ik aalam se hai
sab safī' kī āh-e-pur-be-sāḳhta kahte haiñ vaah
us kā ronā bhī magar kuchh taal se hai sam se hai
Top Urdushayar.com