dard-e-furqat ko kyā kare koī
haa.e aadat ko kyā kare koī
dil kī hasrat ko kyā kare koī
is musībat ko kyā kare koī
pyaar karne se aar hai to kaho
achchhī sūrat ko kyā kare koī
dostoñ ko to rokūñ shoḳhī se
saarī ḳhilqat ko kyā kare koī
chashm-o-dil se chhupā.ūñ dard-e-nihāñ
rañg-e-sūrat ko kyā kare koī
apne dil kā to ḳhuun kar Dālūñ
un kī sūrat ko kyā kare koī
un kā farmān hai ki āh-o-fuġhāñ
mā-badaulat ko kyā kare koī
nāsehoñ ko salām bhī kar luuñ
us nasīhat ko kyā kare koī
aarzū hai to ḳhauf bhī kuchh hai
paak niyyat ko kyā kare koī
tujh meñ jo baat chāhiye vo nahīñ
le ke sūrat ko kyā kare koī
vo ḳhafā hoñ to maiñ ḳhatā kar luuñ
chheḌ hujjat ko kyā kare koī
mehrbāñ haiñ janāb-e-dil us par
aise hazrat ko kyā kare koī
merī taqrīr meñ to hai tāsīr
terī sohbat ko kyā kare koī
naam bhī un kā ham nahīñ lete
ab sharārat ko kyā kare koī
ai safī' vo bigaḌ ga.e man kar
terī qismat ko kyā kare koī