bane ho ḳhaak se to ḳhāksārī ho tabī.at meñ
tabī.at aisī bantī hai to bantī hai mohabbat meñ
bahā.e jaao aañsū umr-bhar us kī mohabbat meñ
ki aise log motī ke mahal paate haiñ jannat meñ
kahā hāzir meñ kuchh hujjat nahīñ phir mudda.ā pūchhā
sitamgar ne palaT dī baat ab hāzir hai hujjat meñ
kisī se apne haq meñ kuchh sunā bhī hai to jaane do
burā to bādshāh ko bhī kahā karte haiñ ġhībat meñ
mohabbat kī zarā sī baat par itne ḳhafā kyuuñ ho
huā kartī haiñ āḳhir saikḌoñ bāteñ mohabbat meñ
nahīñ lā saktā har ik kohkan farhād kī qismat
ḳhudā baḳhshe baḌā insān guzrā chhoTī ummat meñ
tirī har ek tasvīr ik adā-e-ḳhās rakhtī hai
kare kyā farq ab koī zarūrat aur zīnat meñ
ye kyā saa.il ke muñh par toḌ kar TukḌā sā rakh denā
are bande ḳhudā ko muñh dikhānā hai qayāmat meñ
jo badle dost kā bhes us ko dushman kis tarah jānoñ
gayā hazrat kalīm-ullāh kā naqqāl jannat meñ
mohabbat be-itā.at ek dhoka hai mohabbat kā
mohabbat kā jo da.avā hai to koshish kar itā.at meñ
mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhī kī vo bhī
ulaT hai ek nuqte kī mohabbat aur mehnat meñ
safī' duniyā meñ jiine kā maza kuchh bhī nahīñ paayā
hamārī umr kuchh ġhaflat meñ guzrī kuchh nadāmat meñ