Akhtar Hoshiyarpuri

shaKHon pe zaKHm hain ki shagufe khile hue

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
shāḳhoñ pe zaḳhm haiñ ki shagūfe khile hue
ab ke faroġh-e-gul ke ajab silsile hue
ḳhurshīd kā jamāl kise ho sakā nasīb
tāroñ ke Dūbte hī ravāñ qāfile hue
apnā hī dhyān aur kahīñ thā nazar kahīñ
varna the raah meñ gul-o-ġhunche khile hue
tum mutma.in raho ki na dekheñ na kuchh kaheñ
āñkhoñ ke saath saath haiñ lab bhī sile hue
maanā kisī kā dard ġham-e-zindagī nahīñ
phir bhī kisī ke dard se kyā kyā gile hue
jo saañs aa ke mas hue vo manzileñ nahīñ
lamhe jo ham pe biit ga.e fāsle hue
'aḳhtar' mujhe ye Dar hai ki dāman na jal uThe
paatā huuñ āñsuoñ meñ sharāre mile hue
Top Urdushayar.com