ai dil na aqīda hai davā par na duā par
kam-baḳht tujhe chhoḌ diyā ham ne ḳhudā par
is tarah sunī ishq meñ nāseh kī har ik baat
parhez kyā karte haiñ jis tarah davā par
ab tak to kabhī be-mai-o-ma.ashūq na guzrī
ā.inda razā-mand huuñ mālik kī razā par
itne to gunāhgār haiñ badnām-e-mohabbat
āñkheñ to malī haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par
dil lene ke andāz kā kuchh naam nahīñ hai
mauqūf hai ye chiiz adā par na hayā par
allāh mujhe kam se kam itnā to banā de
ek ek to dil duuñ tirī ek ek adā par
dekheñ tire kūche kī zarā āb-o-havā bhī
chalte haiñ jo paanī pe jo uḌte havā par
aaj aap ko dekhā magar ab tak to sunā thā
qaa.il nahīñ hotā kabhī insān ḳhatā par
ma.alūm nahīñ kaun sī miTTī se bane haiñ
vo log jo ġhash haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par
ham apne ḳhayālāt kī islāh kareñge
koshish to bahut kī hai bharosa hai ḳhudā par
hotā huuñ tirī shān-e-karīmī ke tasadduq
marne ke liye hote haiñ chyūñTī ko atā par
ai dost farāmosh ye hai haal hamārā
āmīn kahā karte haiñ dushman kī duā par
kyā aah se armān nikalte haiñ kisī ke
pul bāñdhte haiñ bāñdhne vaale to havā par
taklīf hamesha dil-e-ḳhud-sar ne uThā.ī
aa.ī haiñ balā.eñ bahut us ek balā par
allāh ne kyā kyā tire muñh se na sunāyā
ham shukr bhī karte haiñ shikāyat kī binā par
taakā thā mujhe aur chhiddā ġhair kā siina
ai vaah nikāle haiñ tire tiir ne kyā par
āshiq huuñ to kyā aap kī sohbat meñ rahā huuñ
hañsnā hī paḌegā mire rone kī adā par
vo kaun haiñ maiñ kaun huuñ kyā muñh se nikālūñ
mansūr ko suulī milī aisī hī ḳhatā par
aise tire āshiq kabhī dekhe na sune the
pahre to biThā.e nahīñ naqsh-e-kaf-e-pā par
ushshāq se bhūle kahīñ dekhe bhī haiñ tum ne
mar miTte haiñ ye log faqat nām-e-vafā par
tum se to safī' ne faqat ik Dhoñg kiyā hai
khātā hai na piitā hai to jiitā hai havā par