dost ḳhush hote haiñ jab dost kā ġham dekhte haiñ
kaisī duniyā hai ilāhī jise ham dekhte haiñ
dekhte haiñ jise bā-dīda-e-nam dekhte haiñ
aap ke dekhne vāloñ ko bhī ham dekhte haiñ
be-mahal ab to sitamgar ke sitam dekhte haiñ
kaise-kaisoñ ko bure haal meñ ham dekhte haiñ
hañs ke taḌpā de magar ġhusse se sūrat na bigāḌ
ye bhī ma.alūm hai zālim tujhe ham dekhte haiñ
log kyuuñ kahte haiñ tū us ko na dekh us ko na dekh
ham ko allāh dikhātā hai to ham dekhte haiñ
baaġh kī sair na bāzār kī tafrīh rahī
ham to barsoñ meñ kisī din pe qadam dekhte haiñ
la.al hiire sahī tere lab-e-dandāñ idhar aa
toḌ lete to nahīñ haiñ unheñ ham dekhte haiñ
shal hue dast-e-talab bhuul ga.e harf-e-savāl
aaj ham hausla-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
maiñ tamāshā sahī lekin ye tamāshā kaisā
muft meñ log tire zulm-o-sitam dekhte haiñ
aap kī kam-nigahī husn bhī hai aib bhī hai
log aisā bhī samajhte haiñ ki kam dekhte haiñ
ham ko Thukrāte chaleñ aap kī mahfil meñ adū
kyā unheñ kam nazar aatā hai yā kam dekhte haiñ
chaar logoñ ke dikhāne ko to aḳhlāq se mil
aur kuchh bhī nahīñ duniyā meñ bharam dekhte haiñ
merā honā bhī na hone ke barābar hai vahāñ
dekheñ jo log vajūd aur adam dekhte haiñ
aañkh meñ sharm kā paanī magar itnā bhī na ho
dekh un ko jo tirī aañkh ko nam dekhte haiñ
ho to jā.egā tire dekhne vāloñ meñ shumār
avval avval hī magar apne ko ham dekhte haiñ
rāsta chalne kī ik chheḌ thī tū aaqā na aa
ham to ye qaul ye va.ada ye qasam dekhte haiñ
dekhnā jurm huā zulm huā qahr huā
ye na dekhā tujhe kis aañkh se ham dekhte haiñ
aañkh un kī hai dil un kā hai kaleja un kā
rāt-din jo mujhe bā-dīda-e-nam dekhte haiñ
apnā ronā bhī safī' raas na aayā ham ko
us ko shikva hai ki āñkheñ tirī nam dekhte haiñ