Safi Aurangabadi

shauq-e-darbar mein milte rahe darbanon se

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
shauq-e-darbār meñ milte rahe darbānoñ se
ham ne āñkhoñ se na dekhā jo sunā kānoñ se
talab-e-mehr thī zāhir mire armānoñ se
kah gayā ek hī qissa ka.ī unvānoñ se
bazm kī shaan ghaTī chaak garebānoñ se
jaane bhī diije ḳhatā ho ga.ī nā-dānoñ se
mahv-e-dīdār hue ham to kisī kī na sunī
nuur āñkhoñ meñ jo aayā to ga.e kānoñ se
un ke aane kī ḳhabar aa.ī ilāhī āmīn
kaash āñkhoñ se bhī dekhūñ jo sunā kānoñ se
qais-o-farhād kī taqlīd hai āshufta-sarī
āshiqī aam huī aise hī nā-dānoñ se
maiñ samajhtā huuñ mujhe aap ne mehmān kiyā
kyuuñ ta.āruf na karāyā gayā mehmānoñ se
sāhab pahchān liye jaate haiñ un ke āshiq
ārzuoñ se tamannāoñ se armānoñ se
kahīñ ḳhuddāroñ kī vahshat kā pata chaltā hai
āstīnoñ se garebānoñ se dāmānoñ se
kabhī chhoToñ se baḌe kaam nikal jaate haiñ
mel rakh bār-gah-e-husn ke darbānoñ se
dard-mandoñ pe zarā rahm karo be-dardo
zabt-e-fariyād ziyāda to nahīñ jānoñ se
vo jo anjān haiñ mahfil meñ to apnā bhī salām
ham bhī milte nahīñ is taur ke an-jānoñ se
muñh pe bikhrā liye baal aap ne sub.hān-allāh
dil-lagī dekh ke karte haiñ pareshānoñ se
ai safī' rañg jo apnā hai use kyuuñ badlūñ
tohmatoñ se mujhe ab Dar hai na buhtānoñ se
Top Urdushayar.com