dil ishq meñ tabāh huā yā ki jal gayā
achchhā huā ḳhalish ga.ī kāñTā nikal gayā
ulfat meñ us kī jaan ga.ī dil bhī jal gayā
dushman kā do hī din meñ divāla nikal gayā
dil apnā us se māñgne ko maiñ jo kal gayā
āñkheñ nikāleñ laḌne ko fauran badal gayā
jalte haiñ ġhair apnā to matlab nikal gayā
qismat se baat ban bhī ga.ī daav chal gayā
tārīf-e-husn-e-yār ne is ko kyā raqīb
rahbar bhī beach raste meñ ham se badal gayā
kartā huuñ arz un se jo chalne kī maiñ kahīñ
kahte haiñ kyā dimāġh tumhārā bhī chal gayā
bhārī hai raat hijr kī bīmār par tire
phir us ko ḳhauf kuchh nahīñ ye din jo Tal gayā
dushman ke naqsh-e-pā ko jo dete ho gāliyāñ
piiTo lakīr saañp to aayā nikal gayā
kis rañg meñ vo rahte haiñ us kī ḳhabar nahīñ
mahfil meñ in kī aaj maiñ pahle-pahal gayā
armān kyā ga.e ki gayā dil bhī ishq meñ
ye vo juā hai jis meñ hamārā mudal gayā
vo jalva-gāh-e-nāz ho yā bazm-e-ġhair ho
jannat hameñ vahīñ hai jahāñ dil bahal gayā
dushman bhī jāñ-nisār bane de ke apnā dil
hairat hai mujh ko rūpaya khoTā bhī chal gayā
anjām-e-ishq dekh liyā apnī aañkh se
ab to safī' dimāġh kā tere ḳhalal gayā