chhoḌ har ek ko burā kahnā
aisī sūrat pe tujh ko kyā kahnā
be-vafāoñ ko bā-vafā kahnā
aap kī baat vaah kyā kahnā
tum ne kyā aib ham meñ dekhā hai
dekho achchhā nahīñ burā kahnā
maiñ ne kyā kyā kahā hai logoñ se
ek baar aur phir zarā kahnā
jānte kab haiñ mujh ko apnā dost
mānte kab haiñ vo mirā kahnā
mujh ko ġhusse se dekh kar na ruko
dil meñ jo kuchh bhī aa gayā kahnā
maiñ mohabbat meñ kyā karūñ insāf
koī insāf se zarā kahnā
aap ko aaj tak nahīñ aayā
vāqi.a sab se ek sā kahnā
ḳhuub naqleñ utārte haiñ aap
āfrīñ vaah vaah kyā kahnā
kyā kahā maiñ kabhī nahīñ suntā
aur phir us pe aap kā kahnā
un ko kahnā salām ai qāsid
aur darbān ko duā kahnā
ai safī' hai abhī to dillī duur
kaun kahtā hai aa gayā kahnā