ik nuur thā ki pichhle pahar ham-safar huā
mujh ko qabā kā chaak hī chāk-e-sahar huā
sailāb umañD ke shahar kī galiyoñ meñ aa ga.e
lekin ġharīb-e-shahr kā dāman na tar huā
zindān-e-ārzū meñ nazar be-basar rahī
dīvār dar huī to kiran kā guzar huā
vo āñdhiyāñ chalī haiñ ki ashjār ukhaḌ ga.e
dukkān-e-shīshagar pe na phir bhī asar huā
ab kaun dekhtā phire kyuuñ bām-o-dar jale
jo kuchh huā hai fasl-e-chaman se udhar huā