Safi Aurangabadi

kya ho taskin jo ho teri sukunat dil mein

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
kyā ho taskīn jo ho terī sukūnat dil meñ
rahe āġhosh meñ yā pyaar kī sūrat dil meñ
maut chāhūñ to karūñ soz-e-mohabbat kā ilaaj
kyā rahegā na rahegī jo harārat dil meñ
dil-nashīñ hai jo mujhe tālib-e-izzat honā
chhup ke baiThā hai koī sāhab-e-izzat dil meñ
dil ko sab log ye kahte haiñ ḳhudā kā ghar hai
maiñ samajhtā huuñ ki hai terī amānat dil meñ
sun rahā huuñ vo ayādat ke liye aate haiñ
aaj hai pursish-e-āmāl kī haibat dil meñ
tauba tauba maiñ samajhtā thā ki dil hai betāb
ḳhud vo betāb hai jis kī hai sukūnat dil meñ
dil meñ rahne kā tujhe haq to hai lekin ai shoḳh
kaash hotī tire chehre kī matānat dil meñ
jānte haiñ mirī be-rāh-ravī ke asbāb
mānte haiñ mujhe yārān-e-tarīqat dil meñ
Than ga.ī thī tire aḳhlāq kī bejā tārīf
ab na aatā to ye aa.ī thī sharārat dil meñ
hai abhī tak to faqat sikva-e-dushman ai dost
kahīñ paidā na ho kuchh aur shikāyat dil meñ
chāhtā huuñ jise ban jaa.e agar vo saaqī
baḌhtī jaa.e havas-e-kausar-o-jannat dil meñ
zauq-e-dīdār bhī kyā chiiz hai allāh allāh
merī āñkhoñ meñ basārat hai basīrat dil meñ
kaash min-jumla-e-āzār-e-mohabbat nikle
kār-farmā nazar aatī hai jo quvvat dil meñ
haiñ abhī tak tumheñ duniyā ke maze yaad safī'
āshiqī karte ho rakh kar ye malāmat dil meñ
Top Urdushayar.com