Safi Aurangabadi

ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata

Safi Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1893-1954
ab ek dard bhī dil meñ nazar nahīñ aatā
kisī ke kaam koī umr-bhar nahīñ aatā
ye dil bhī dost farāmosh kam nahīñ tujh se
ki muddatoñ nahīñ aatā jidhar nahīñ aatā
na so.eñ din ko vo rātoñ ko jāgte haiñ zarūr
nahīñ to aañkh meñ itnā asar nahīñ aatā
unhīñ kī baat haiñ jo maiñ ne yaad kar lī haiñ
magar vo un kī zabāñ kā asar nahīñ aatā
murāqabe meñ hai kyā kyā mushāhida ai shaiḳh
baġhair us ke nazar meñ asar nahīñ aatā
adam ke naam se har ek kyuuñ rahe bashshāsh
har ek shaḳhs ko lutf-e-safar nahīñ aatā
ilaaj aur maraz meñ na thī koī nisbat
hamāre sāmne ab chāragar nahīñ aatā
ghuTī hī jaatī haiñ har roz quvvateñ dil kī
maiñ us ke sadqe jo armān bar nahīñ aatā
duā ke Dhañg hī ahbāb ko nahīñ aate
ġhalat hai ye ki duā meñ asar nahīñ aatā
vo dard mol ki ho rāt-din kī niiñd harām
to dekh aah meñ kaisā asar nahīñ aatā
usī ne kah diyā achchhā huā ki vo kyā hai
mirī samajh meñ to ye umr-bhar nahīñ aatā
safī' ko shā.irī aatī hai vo bhī kuchh yuuñ hī
use bas aur to koī hunar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com