na rotā zār-zār aisā na kartā shor-o-shar itnā
ilāhī kyā karūñ dard-e-jigar itnā jigar itnā
bulāne ke tarīqe se bulāyā kījiye ham ko
rahe malhūz-e-ḳhātir kam se kam bār-e-digar itnā
vo jitnā mujh se milte haiñ usī milne meñ ḳhūbī hai
kisī se bhī mile to bas mile har ik bashar itnā
tire saath aaj kaise kaise zālim yaad aa.e haiñ
na ro.e the na ro.eñge kabhī ham umr-bhar itnā
vahī log aap ke nazdīk sachche āshiqoñ meñ haiñ
ki jin kī aañkh meñ aañsū nahīñ hai shor-o-shar itnā
baḌe bhole haiñ kyā duniyā meñ bhole aise hote haiñ
unhīñ maiñ kyā samajhtā huuñ na samjhe umr-bhar itnā
nahīñ ma.ashūq to phir kyā balā haiñ koī aafat haiñ
nayā ġhussa hai un kā aaj itnī baat par itnā
vo mujh se kis liye milte haiñ kyā ma.alūm logoñ ko
samajhte hoñge sab un par bhī hai is kā asar itnā
tire āshiq kī sūrat ab to pahchānī nahīñ jaatī
satāte haiñ bhalā is tarah aisā is qadar itnā
kisī sūrat ye shān-e-dilbarī dekhī nahīñ jaatī
mirī āñkheñ bhī le jā aur ik ehsān kar itnā
kisī ko apnī barbādī kā baa.is kyā batā.eñ ham
mohabbat hai burī shai jāntā hai har bashar itnā
luTeroñ kī ban aa.e mujh ko shādī marg ho jaa.e
kahā thā kis ne ai daatā mire dāman ko bhar itnā
zarā bahr-e-ḳhudā insāf kar aur bhūlne vaale
taġhāful sheva-e-māshūq hotā hai magar itnā
nahīñ hai be-ḳhudī hī kī tamannā ham ko ai saaqī
tire mastoñ kā sadqa kuchh zarā sā ghūñT-bhar itnā
adū ham se tumhāre zulm kā shikva nahīñ karte
dikhāte haiñ ki dekho ham bhī rakhte haiñ jigar itnā
mujhe jiine se tum māyūs nā-ummīd hī rakkho
tasallī do magar itnī dilāsā do magar itnā
diyā ḳhat un ko lekin kab diyā jab the vo ġhusse meñ
na samjhā thā payāmī kī samajh itnī hai sar itnā
safī' kyuuñ qadr kā tālib huā hai is zamāne meñ
are kam-baḳht tere paas kab hai māl-o-zar itnā