nafs se jo laḌā nahīñ karte
ruuh par vo jilā nahīñ karte
kyuuñ na ho phir fasād duniyā meñ
log ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ karte
ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar
baat dil kī kahā nahīñ karte
un kā jiinā abas hai duniyā meñ
jo kisī kā bhalā nahīñ karte
bazm-e-ishrat meñ āshiqān-e-tarab
nāla-e-dil sunā nahīñ karte
dostī kyā karūñ maiñ phūloñ se
ye hamesha khilā nahīñ karte
dars lo TūTte habāboñ se
sar uThā kar chalā nahīñ karte
ai 'jalī' dahr ke satā.e hue
zindagī kī duā nahīñ karte