ik dāman meñ phuul bhare haiñ ik dāman meñ aag hī aag
ye hai apnī apnī qismat ye haiñ apne apne bhaag
raah kaThin hai duur hai manzil vaqt bachā hai thoḌā sā
ab to sūraj aa gayā sar par sone vaale ab to jaag
piirī meñ to ye sab bāteñ zāhid achchhī lagtī haiñ
zikr-e-ibādat bharī javānī meñ jaise be-vaqt kā raag
auroñ par ilzām-tarāshī fitrat hai ham logoñ kī
sach pūchho to paal rakhe haiñ ham ne ḳhud zahrīle naag
yahīñ paḌe rah jā.eñge sab maal ḳhazāne dhan-daulat
maut paḌī hai tere pīchhe bhaag sake tū jitnā bhaag
hirs-o-havā kī is duniyā se bach ke raho to achchhā hai
behtar hai shīrāz kī dāvat se bas rūkhī roTī saag