rahī dil kī dil meñ zabāñ tak na pahuñchī
mohabbat kī duniyā bayāñ tak na pahuñchī
baserā rahā us kā sehn-e-chaman meñ
magar ye bahār āshiyāñ tak na pahuñchī
unheñ ḳhvāb meñ bhī na dhyān aayā mirā
ye rūh-e-haqīqat gumāñ tak na pahuñchī
shab-e-ġham mirā dil thā suulī pe lekin
tamannā sarishk-e-ravāñ tak na pahuñchī
bahāroñ kā to zikr hī kyā karūñ maiñ
gulistān-e-dil meñ ḳhizāñ tak na pahuñchī
tasavvur se aage taḳhayyul se aage
mire dil kī vahshat kahāñ tak na pahuñchī
rahī mahv tauf-e-chaman 'barq' aksar
magar vo mire āshiyāñ tak na pahuñchī