Akhtar Hoshiyarpuri

tha ek saya sa pichhe pichhe jo muD ke dekha to kuchh nahin tha

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
thā ek saaya sā pīchhe pīchhe jo muḌ ke dekhā to kuchh nahīñ thā
ab apnī sūrat ko dekhtā huuñ kabhī jo sad-paikar-āfrīñ thā
vo phir bhī jaañ se azīz-tar thā tabī.ateñ go judā judā thiiñ
agarche ham-zād bhī nahīñ thā vo merā ham-shakl bhī nahīñ thā
maiñ ruk sakūñgā Thahar sakūñgā thakan safar kī miTā sakūñgā
kahīñ to koī shajar milegā tamām raste yahī yaqīñ thā
ka.ī chaTāneñ gudāz jismoñ meñ apnī garmī se Dhal ga.ī thiiñ
butoñ ke qisse meñ tesha-kāroñ kā tazkira bhī kahīñ kahīñ thā
na jaane kyā dhuñd darmiyāñ thī ki kohkan kī nazar na pahuñchī
jahāñ se phūTā thā chashma-e-māh-shab kā patthar bhī to vahīñ thā
maiñ apnī āvāz ke ta.āqub meñ māvarā-e-nazar bhī pahuñchā
magar palaT kar na us ne pūchhā ki maiñ ḳhalā ke bahut qarīñ thā
vahī manāzir luTe luTe se vahī shikasta makān 'aḳhtar'
maiñ roz-marra ke rāste se jo ghar meñ pahuñchā bahut hazīñ thā
Top Urdushayar.com