na rahbar ne na us kī rahbarī ne
mujhe manzil atā kī gumrahī ne
banā Daalā zamāne bhar ko dushman
faqat ik ajnabī kī dostī ne
vo kyuuñ muhtāj ho shams-o-qamar kā
jilā baḳhshī ho jis ko tīrgī ne
badan kāñToñ se kar Daalā hai chhalnī
hamārā gul-ruḳhoñ kī dostī ne
badal Daalā mazāq-e-gul-parastī
chaman meñ adh-khilī sī ik kalī ne
qayāmat ban ga.ī rahmat sarāpā
kyā kiyā aap kī ham-sā.egī ne
shikāyat barq kī ai 'barq' kaisī?
mujhe phūñkā hai gul kī pañkhuḌī ne