jab tirā aasrā nahīñ miltā
koī bhī rāstā nahīñ miltā
apnā apnā nasīb hai pyāre
varna duniyā meñ kyā nahīñ miltā
tū ne DhūñDā nahīñ tah-e-dil se
varna kis jā ḳhudā nahīñ miltā
log milte haiñ phir bichhaḌte haiñ
koī dard-āshnā nahīñ miltā
saarī duniyā kī hai ḳhabar mujh ko
sirf apnā patā nahīñ miltā
hasrateñ dāġh-o-dard-o-rañj-o-alam
dil ke dāman meñ kyā nahīñ miltā
be-sahārā bhī dekh lo jiinā
har jagah aasrā nahīñ miltā
chehra chehra udaas lagtā hai
jab tirā ruḳh khulā nahīñ miltā
'barq' vo mehrbān ho jis par
us ko duniyā meñ kyā nahīñ miltā