vahshat-zada dil to juuñ sharar hai
is ke ta.iiñ aap se safar hai
tum jaur-o-jafā karo jo chāho
in bātoñ pe kab mujhe nazar hai
tū aap hī ḳhair aap shar hai
kuchh aur na naf.a ne zarar hai
ham be-ḳhabroñ se rah ḳhabar-dār
itnī to bhalā tujhe ḳhabar hai
guzrī jaatī hai har tarah se
duniyā guzrān sar-ba-sar hai
dil ke ḳhatroñ se be-ḳhatar huuñ
sar se paañv talak ḳhatar hai
tū ne hī to yuuñ niDar kiyā hai
bas ek mujhe tirā hī Dar hai
yuuñ dard ba-jān-o-dil samāyā
har nāla-o-āh kārgar hai
yā hazrat-e-andalīb baḳhshish
ye tere hī dard kā asar hai
dil terī taraf hai nit par is ko
ma.alūm nahīñ ki tū kidhar hai
yuuñ aañkh se aañkh meñ milā hai
itnā to mirā dil o jigar hai
be-dard tū kyūñki rah sakegā
ye hazrat-e-'dard' kā 'asar' hai