na lagā le ga.e jahāñ dil ko
aah le jā.iye kahāñ dil ko
mujh se le to chale ho dekho par
toḌiyo mat kahīñ miyāñ dil ko
aazmā aur jis meñ chāhe tū
sabr meñ kar na imtihāñ dil ko
yuuñ to kyā baat hai tirī lekin
vo na niklā jo thā gumāñ dil ko
rakh na tū ab dareġh nīm-nigāh
maar mat dekh nīm-jāñ dil ko
aah kyā kiije yaañ banāyā hai
dil-girafta hī ġhuncha saañ dil ko
mar gayā pis gayā na kī par aah
āfrīñ aise be-zabāñ dil ko
dushmanī tū hī is se kartā hai
dost rakhtā hai ik jahāñ dil ko
mehrbānī to kī na zāhir meñ
rakhiye baare tū mehrbāñ dil ko
lījiyegā na lījiyegā phir
dekhiye to sahī butāñ dil ko
āzmānā kahīñ na saḳhtī se
dekhiyo mere nā-tavāñ dil ko
tū bhī jī meñ use jagah diijo
manzilat thī 'asar' ke haañ dil ko